India Women aur Ireland Women ke beech hua pehla ODI match Rajkot ke Saurashtra Cricket Association Stadium mein, jisme India ki mahila cricket team ne Ireland ko 6 wickets se hara kar series mein 1-0 ki badhat bana li.
Smriti Mandhana ki kaptani mein khel rahi Indian team ne teen matches ki series ke pehle ODI mein shandaar jeet darj ki. Ireland ki team ke kaptan Gaby Lewis ki shandaar 92 runs ki inning bhi apni team ko jit nahi dilwa saki. Unke saath Leah Paul ne 59 runs banaye. Ireland ka total score 239 runs tha, jisme Priya Mishra ne India ke liye 2 wickets liye. Titas Sadhu aur Deepti Sharma ne ek-ek wicket apne naam ki.
Chase Mein Indian Team Ka Zabardast Performance
India ki taraf se chase karte hue Pratika Rawal ne 89 runs banakar “Player of the Match” ka khitab jeeta. Smriti Mandhana ne 41 runs ka yogdan diya. Jab ye dono players out ho gaye, tab Tejal Hasabnis ne 53 runs ki unbeaten inning khelkar sirf 46 balls mein India ko 93 balls baaki hote match jeet dilayi.

Playing XI
- India Women: Smriti Mandhana (c), Pratika Rawal, Harleen Deol, Jemimah Rodrigues, Tejal Hasabnis, Richa Ghosh (w), Deepti Sharma, Sayali Satghare, Saima Thakor, Priya Mishra, Titas Sadhu
- Ireland Women: Sarah Forbes, Gaby Lewis (c), Una Raymond-Hoey, Orla Prendergast, Laura Delany, Leah Paul, Coulter Reilly (w), Arlene Kelly, Georgina Dempsey, Freya Sargent, Aimee Maguire
Pichhle Series Ke Highlights
India ne West Indies ke against pehle hi ODI series 3-0 se clean sweep kiya tha, aur T20 series 2-1 se apne naam ki thi.
Ireland ki team ke paas quality all-rounders hain, aur Orla Prendergast ka Australia aur WBBL ka experience unke liye ek plus point ho sakta hai. Lekin India jaise strong opponent ke saamne Ireland ki team ko aur mehnat karni hogi.
Ab dono teams doosre ODI ke liye tayaar hongi, jisme Ireland ke paas series mein waapas aane ka ek aur mauka hoga. 😊